Friday, February 8, 2019

Zip file how to create - zip file create

Zip file how to create - zip file create

Zipe file kya hai and how to create it

Hello friends aaj hum ZIP file kya hai? is baare me kuch discuss karenge. Aapme se bhut saare log ese honge jinko pata nahi hoga ki ZIP file kya hoti hai. ZIP files ko kyu use kiya jata hai, ye zip file kaise kaam karti hai, zip files ke types kon kon se hai. Is article me hum Zip file kya hoti hai is topic ke baare me jaanenge.

Aapne bahut baar Movies website ya software websites par Movies ya Softwares download karne ke liye Zip option dekha hoga, lekin aapko zip ke baare me pta nhi hota hai so aap zip file download karte he nahi. Jabki ye zip files aapke liye bahut he kaam ki or data save karne wali hoti hai.

Aajkl jaise jaise technology me growth hoti ja rahi hai, or 4G technology bhi aa he gyi hai, or 5G technology bhi ane he wali hai avi testing chal rahi hai. Or log badi badi movies or softwares games easily download kar lete hai. 2G technology ke time pe ye sab cheeje karna bahut he tough hota tha. Aaj mobile data ki kami nahi hai lekin fir bhi log badi files ko download nahi karte hai share karke he lete hai, kyuki sabse badi problem Storage ki hoti hai.



zip file create
Zip files




Lekin agar aapke pass storage ki kami hai to aap Zip file ko download kare kyuki zip files less space consume karti hai or safe bhi hai. Isliye agar kisi bhi website par Zip file download option  diya ho to use download kare. Aaiye jaante hai ki Zip file Kya hoti hai, or work kaise karti hai?



Zip ek esa esa system hai jo Computer ki ek ya ek se jyada ek files me pack kar deta hai, jo ki original file se kam space leti hai. Zip files ko Archive file bhi kahte hai. Zip files compressed files hoti hai so kam space leti hai. Zip files ka extension .zip hota hai. Sabse important baat ki aap zip files pe password bhi laga sakte hai, jisse ki files save rahti hai. Kam sapce consume karne ki wajah se kahi bhi easily share kar sakte hai.


Zip files ka use kyu kiya jata hai(Why zip files are used)

Zip files data compress karti hai jisse ki uska size kam ho jata hai or use internet par easily upload kiya ja sakta hai. Zip files ko e-mail ke saath attatch kiya ja sakta hai.

Iska sabse bada use ye hai ki aap 1 zip folder download karenge to aapko sabhi tarah ki files mil jayengi, jaise games, movies, software etc. Or aapko ye sabhi cheeje 1 file k andr mil jeyengi. Iske alawa agar aapke pass big files hai or unka use kabhi kabhi hota hai to aap normal files ko Zip me convert kar sakte hai, jisse aapka space bhi bach jayega or aap zip files pe password bhi laga sakte hai.



Zip files kaise create kare
Zip Files


 

Zip file kaise kaam karti hai

Normally Zip files all files ko ek container me bundle karke rakhti hai or uski size ko itna chota kar deta hai  Zip files ko 90% tak chota kiya ja sakta hai. Jab bhi aap files ko compress karte hai to zip file compression program in files ko scan karta hai or information small- small  pieces me compress kar deta hai. Jab aap in files ko Unzip karte hai to purani files original size me convert ho jati hai.



What is machine learning Hindi me

MCB - Miniature circuit breaker mechanism and working


Zip files ke types 

Zip files different different types ki hoti hai for example RAR, ARJ, TAR etc. In sabka kaam ek he hao bas compression methods thode alag hai.

Zip file kaise banaye(zip file how to create)

Suppose aapko koi file zip me convert karni hai. So jin jin files ko bhi zip me convert karna hai unko ek folder me copy kar le, uske baad folder par right click karke Add To Archive par click kar de. Iske baad new window open hogi jisme aapko apni need ke hisaab se changes karne hai or Ok click kar dena hai, aapki file compress hona start ho jayegi or thodi der me compress ho jayegi or Zip file me convert ho jayegi.

Zip file ko Unzip kaise kareFiles ko zip karne ke liye WinZip, WinRar, 7-Zip etc softwares available hai. Zip files ko banane ke liye koi bhi Zip software hone jaroori hai. Waise to windows ke new versions me inbuilt Zip software pahle se he ata hai.

Conclusion

Hope is article se aapko pata chal gaya hoga ki Zip files kya hai(What are zip files hindi me). Log zip files ka use kyu karte hai, Zip files ke types, Zip me convert karne k liye softwares or Zip files ki working. If you have any doubts and queries related to Zip files feel free to ask.


EmoticonEmoticon