Saturday, February 9, 2019

What are the domain names - domain name system computer networks

Domain name kya hai 

What are the domain names(domain names kya hota hai). Aap jab bhi koi website internet pe search karte honge tab aap ek cheej common jaroor dekhte honge ki jab search results me websites ke peeche se extensions rahte hai. Jaise ki .com, .in, .org, .info etc. Waise to aajkl normally sabhi log domains ke baare me jante hai so is baare m jyada detail me ab baat karte hai ki actual me domain name kya hai or kyu use kiya jaata hai.


Why Domain names are used (Domain name kyu use kiye jaate hai)

As we all knows ki Domains se kisi bhi website ka address juda hota hai, jisse ki wo address hame easily yaad rahta hai. Lekin agar Domain names hote he nahi to fir websites ko search karna thida mushkil hota. For example ab completely samajhte hai ki Domain name kya hai kyu use kiya jaata hai. Koi bhi website jo internet par available hai uska kuch na kuch IP address hota hai jisse ki search engines use find karte hai or hame search results me show karate hai. Har website kisi na kisi server par hosted rahti hai matlab store rahti hai. Jaise ki hum human beings ka koi na koi name hota hai jisse ki hamari pahchan hoti hai. Waise he websites ka bhi koi n koi apna address hota hai jo ki kahi door kisi web server par store rahti hai.


domain name kya hota hai
Domain name system computer networks


Domain name or DNS(Domain Name Server) ek esa system hai jisse ki  kisi website ko ek fixed identity mili rahti hai internet par, or background me wo domain name kisi IP address se linked rahta hai. Ab har website ka different different IP address hota hai so Ip address ko yaad rakhna waise jyada mushkil to nahi hai lekin kuch had tak. Lekin itni saari websites hai ki har kisi ka Ip address yaad rakh paana impossible sa he hai. So isiliye Domain Names ka invention kiya gya, ki websites ko hm normal english name se yaad rakh sake jo ki jyada mushkil nahi hai.
For example: Agar baat kare to facebook, twitter etc socoial media sabhi log use karte hai or sabhi ko inka domain name jaise ki fb.com, twitter.com etc ye easily yaad hai. Lekin agar kaha jaye ki bina domain name k website open karni hai is it possible? Yes this is possible but hame fb.com(facebook.com) ya koi v site ho uska Ip address search karna hoga tabhi ja ke website open hogi, jo ki name dalke search karne me easy hai IP address ke mukable. So that's why Domain names assign kiye gye. 10 or 20 websites ka maximum IP address agar hum yaad kar bhi lete hai lekin sites to itni hai ki sbka yaad rakh paana almost impossible hai. So Domain name ek type se website Ip address ki he 2nd form hai thoda easy way me.


How domain name works(Domain kaise kaam karta hai)


Normally sabhi websites kisi na kisi web server me stored(host) rahti hai and Domain Name us web server ke IP address ko point kiya hota hai. As a result jab bhi aap apne search bar me koi bhi website ka url dalte hai to wo Domain Name ki help se us server ki IP address ko point karta hai, jisse aap us website tak pahuch paate hai.

Types of Domain Name basically Domain names bhut types ke hote hai, lekin kuch bhut he important domain names hote hai or hum isi baare me baat karenge lets see some important domain names.

domain name system computer networks
Domain name system in computer networks


1. TLD - Top Level Domains

Top level Domains(TLD) ko basically Internet Domain Extension ke name se bhi jana jata hai. Ye kisi bhi domain ka last wala part hota hai for example .com, .org etc. In extensions ki help se aap apni website ko rank kar sakte hai. Ye jyada SEO(Search Engine Optimization) friendly hai and Google search engine bhi TLD ko importance deta hai.

Example of Top Level Domains(T.L.D)

  •  .com(commercial)
  •  .org(organization)
  •  .net(network)
  •  .gov(government)
  •  .edu(educational)
  •  .info(information)
  •  .biz(business)
  •  .name(name)



CCTLD - Country Code Top Level Domains

Ye domains basically kisi fixed country ko target karke use kiye jate hai. Ye domain names basically country name based domains hote hai 

For Example
  • .in(India)
  • .us(United States)
  • .ch(Switzerland)
  • .cn(china)
  • .br(brazil)

  How to Install 2 OS in 1 PC -2 OS kaise install kare

 India's top travel Vloggers - India ke top travel Vloggers


Subdomain kya hai

Subdomain name aapke main domain name ka ek part hota hai subdomain ko buy nahi kiya jata hai. Agar aapne koi top level domain buy kar liya hai to ussko Subdomain Name me divide kar sakte hai. i.e. abc.com TLD name hai but ise xyz.abc.com, pqr.rst.com me divide kar sakte hai iska koi charge nahi lagta hai. Aap only English he nahi Hindi me bhi Domain Name buy kar sakte hai abc.भारत


Domain Name or URL me Difference kya

Technically Domain name ek address ka name hai ek part hai internet website ka jise ki "URL"(Uniform Resource Locator) kahte hai. Url bhut saari cheejo ka combination hota hai url contains specific page address, folder name, protocols (http or https).


For Example



Top Domain Name Providers 

Agar aap bhi website banana chahte hai to domain to buy karenge he so yaha kuch domain providers ki list hai jaha se aap apne suitable domain buy kar sakte hai.

  • Bigrock(Indian Company)
  • GoDaddy(US company)
  • Namecheap(Famous for cheap domains)
  • IPage
  • Hosting Raja(Indian Company)
  • Hostgator
  • Google Blogspot 


Note: ICANN(The Internet Corporation For Assigned Names and Number) is an organization who allows these companies to sell domains.


So hope aap sabhi ko "what are the domain namesarticle pasand aaya hoga or Domain names se related saare doubts clear ho gaye honge or kuch important seekhne ko mila hoga. If you have any doubts related feel free to ask. Thank you and visit again for more knowledge and information.


EmoticonEmoticon