VPN Kya Hai?
VPN(virtual private network) ek esa network jo aapko seedha bina kisi ISP(internet service provider) se request send kiye destination website ko serve karne ki facility deta hai.
Market me bahut saare VPN service providers hai jo aapko VPN ki service dete hai jaise ki Express VPN, Norton, PolarBear, Private Tunnel etc. Android and iPhones ke liye bhi VPN apps available hai jo aap free me play store or app store se download kar sakte hai. Is article me hum step by step dekhenge ki kaise aap apne PC me VPN use kar sakte hai.
Jab bhi aap koi bhi website browse karte hai to aapki wo request aapke ISP ke pass send ki jati hai aapke device se or fir agr wo website aapke ISP ne ban nahi kar rakhi hai to wo request approve ho jati hai or aapki request k behalf aapko wo web page apne device ki screen p display ho jata hai.
But but saare cases me bhut sari websites country ya kisi specific region me ban hoti hai to usko kaise access kar sakte hai? To ese time par VPN kaam m liya jaata hai. VPN ki help se aap koi bhi website open kar sakte hai without any problem. Is article me hm computer me VPN kaise use kare usse related information share karne wale hai or ye step by step guide hone wali hai so dhyaan se steps ko read kare.
IP address kya hai or types of IP addresses
Ip means "Internet Protocol". Hello friends, aaj hum is post me janenge ki "IP addess ko kaise change kare" Aapne Ip address k bare m to suna he hoga! Agar nahi to m aapko btana chahta hu ki kaise har kisi aadmi ki identity hoti hai waise he har device (computer,phone) ya jo v network se connect hone wala wala device hota hai uski v ek identity hoti hai internet par. Usi identity ko ham IP address kahte hai. IP address ko 2 group m divide kiya gaya hai IPV4 and IPV6.
Normally avi tak jab se IP address diya jana shuru hua hai tab se IPV4 he chal raha hai. IP address 4 digits ka hota hai. Example k liye 192.168.6.55 Agar aap apna IP address janna chahte hai to aap simple se google ya kisi v search engine p search kar sakte hai What is my IP aapko aapki public IP show ho jayegi.
Full form of VPN
The full form of VPN is Virtual Private Network
IP address ek asa address hota hai jo bar bar change hota rahta hai jaise ki aapki Ip aaj kuch aur hai ho skta hai 1 ghante bad kuch aur ho ya fir asa v ho sakta hai ki kl change ho ya fir 1 hafte baad. To total milakar baat ye hai ki IP addres ek type ka fixed address nahi hota hai. IP address aapko aapka internet service provider provide karta hai. Jaise aap avi airtel ka sim use karke ya airtel k broadband se internet chala rahe hai to aapko aapke service provider ne ek IP d rakhi hogi aapki internet p pahchan k liye.
Ho sakta hai ki future m itne devices aur computers ho jaye ki IPV6 use karna pade. IP address ka main use yahi hai ki internet p alag si pahchan ya address ho har device ki jisse uske sath data transfer kiya ja sake aur usko easily find kiya ja sake.
TYPES OF IP ADDRESSES - Static and Dynamic IP
1: Static IP address (Fix IP)
2: Dynamic IP address(Not fix IP)
1: Static IP : Simply maine apko jaise ki btaya hai ki aapka IP address har time change hota rahta hai. To agar aap apni IP bar bar change nahi dekhna chahte to aap static IP ka use kar sakte hai.To aapko static IP kaha se milegi. Aap jis v service provider ka internet use karte hai to aap usse apni ek "Static IP" address(Fix) le sakte hai. Jisse aapka IP address kavi change nahi hoga. Static IP k liye aapko service provider ko rupee dene padte hai jisse operator aapko ek fic IP de deta hai aur aapki internet par ek alag pahchan ho jati hai. Static IP kavi v change nahi hoti hai.Isi ko aap VPN ya virtual private network kahte hai jo aap static IP address late hai.
2: Dynamic IP: Dynamic IP ka mtlb hota hai jo bar bar change hoti rahti hai jaise ki aapki normal IP. Jo kisi v time apne aap change hoti rahti hai. Ye dynamic IP he aapki "public IP" v hoti hai.
So friends m aap aapko ek type ka concept v kah sakte hai uske baare m btana chahta hu ya fir aap usko website k through v kar sakte hai.To friend is website ka name hai private tunnel. Is website ko use karke aap apni public IP address ko change kar sakte hai. To m aapko poora procedure btata hu ki kaise aapko ise use karna hai.
PC me VPN Kaise Use Kare
STEPS
1: To friends sabse pahle aapko Private Tunnel website p jana hai waha p register karna hai. Register karna simple hai aapko bas apne g-mail account se account banana hai aur apna password dalna hai.
2: Uske bad aapko 'private tunnel' vpn for pc free ka software download karna hai jo ki aapko usi ki site p mil jayega.
3: Uske bad aapko is software ko install karke open karna hai aur aapne jo g-mail aur password account bnane k liye use kiya tha usko is software par login karna hai.
You can also download a VPN extension for chrome
4: Uske baad aapko waha p login k bad bhut sare countries k name aayenge aap kisi v country ki IP le sakte hai aapki IP use country ki show hogi.
Download VPN for PC free from this link or copy this into your browser
VPN pro plan is also available under the paid version of VPN
Agar aap America(USA) ki IP choose karte hai to aapko America ki IP Milegi.
Aap chahe to google p search karke v check kar sakte hai ki IP doosri jagah ki hai v ya nahi to aap bas simple 'what is my IP' type krenge aur search krenge to aapko apni IP doosri country ki dikhai degi.
To friends aap apni IP change karke 'anonymous surfing' kar sakte hai. Ye software ekdam free hai aur aapko na he account banane k liye koi payment karne ki jaroorat hai. To aap kaise apni IP change online kar sakte hai aapne is article se seekh liya hoga agar aapko koi problem ati hai to aap comment m bta sakte hai.
Conclusion
So readers humne is post me jaana ki apne how to use vpn hope aap VPN ke baare me bhi aache se samaj gaye honge. Or VPN ki help se kaise aap apna hide my ip kar sakte hai. Agar ye post useful lagi to comment karke btaye or agar kuch galtiya hui hai to bhi correction karne ke liye comment kare.
EmoticonEmoticon