What is Machine Learning?
What is machine learning? Machnne learning future technology hai to chaliye machine learning ke baare me baat karte hain. Sunne me aapko bahut he intresting lag sakta hai, to chliye jaante hain. Aap sabhi ne Online Shopping to kari he hogi, jaha e-commerce websites me daily crores peoples aate hain or apne pasandeeda cheeje shop karte hain, kyuki yaha par unhe choose karne ke liye unlimited range ke Brands, Colors, Price(low and high) bahut kuch dikhai deta hai lekin hamari ek aachi habit ye bhi hai ki hum ese he apne liye cheeje nahi khareed lete hai balki hum bahut saari cheejo ka dhyaan rakhte hai shopping karte time hum bahut saari cheejo me comparision karte hai.
Tab ja ke choose karte hain. Iske liye hame bahut saare products ko open karna padta hai, so isi habit ko advertising platfroms target kar lete hai jisse hame recommended list me ese items dikhai dete hai jinko humne pahle kabhi search kiya ho, isme aapko shock hone ki jaroorat nahi hai kyuki ye koi insaan nahi kar rha hai ki aapko wahi items recommended me dikhai dete hai ya advertisements me dikhai dete hai ye sab algorithm(computer program) ki wajah se hota hai.
Is cheej ke liye Machine Learning hamare bahut kaam ati hai kyuki wo hamare behaviour ko read karta hai or usi ke according se apne experiencese khud ko program kar deta hai, isiliye jitni aacha data provide hoga utne aache se learning models made honge or customers ko bhi benifit hoga.
Agar hum Traditional Advertisement ki baat kare to tab usme newspapers, magazines, radio etc main the lekin ab technology ka jamana hai or technology or bhi improve hoti ja rahi hai or bhi smart hoti ja rahi hai, jo ki targeted advertisement(Online add system) se kar rahi hai. Ye bhut he efficient or best method hai jo sirf targeted audience par he apne advertisement show karte hain jisse conversion rate jyada hota hai.
Baat sirf Online Shopping tak he nahi hai balki Health Care Industries me bhi Machine Learning se he work kiya jaate hain. Researchers or Scientists ab ese models prepare kar rahe hai jo ki machines ko train karte hain "Cancer" jaise dangerous diseases ki pahchan ke liye, iske liye wo in machines me cancer cell images feed kar dete hai jo ki actual me cancer cells ke alag alag varients hote hain jisse patients ke tests ke time in Machine learning Systems ka use kiya jaata hai. Cancer cells ko detect karne ke liye, jo ki Humans ke liye bhut time consuming otr tough hota tha machine learning se bahut he easy or time saving process ban gyi hai.
Iske alawa machine learning ka use IMDB ratings, Google Photos, Google Lens ke liye bhi kiya jaata hai. Machine learning ka use kahi bhi kiya ja sakta hai. Machine Learning me correct models banane ke liye computers ko more or correct data dene ki jaroorat hoti hai jis data me images, videos, audio or text ho to shi model prepare ho pata hai or machine learning utna aacha result show karti hai. Iske liye algorithms ko is type se design kiya jaata hai jisse past experience se machine future actions(predictions) ko kar paata hai.
How to learn machine learning - Learn machine learning
Agar aapko bhi Machine Learning seekhni hai to aapko bhi kuch pre requirements ki need hogi, to chaliye baat karte hai ki aapko kya kya cheeje ani chaiye machine learning learn karke ke liye.
- Linear Algebra
- Statistics and Propability
- Calculas
- Graph Theory
- Programming languages(Python, MATLAB, C++, C, ya Octave)
मशीन learning क्या है इन हिंदी Machine learning Hindi me Algorithm in Hindi |
Machine learning ke advantages
Advantages of machine learning in Hindi
Wiase to machine learning ke bhut saare advantages hai jinke baare me hame pta bhi na ho esi esi jagah machine learning ka use ho raha hai or future me machine learning ki demand he har industry me hone waali hai.
1. Machine Learning ke bahut saare wide applications hai jaise ki Banking, Financial Sector, Healthcare, Retail, Publishing etc industries me.
2. Google or Facebook jaise tech companies Machine Learning ke use se relevant advertisements ko hame show karwati hai, ye sab advertisements users ke past search behaviour ke base par kaam karti hai isiliye ise targeted ads bhi kaha jaata hai.
3. Machine learning ka use Multi-dimentional or Multi-variety data ko handle karne ke liye bhi kiya jaata hai wo bhi dynamic environments me
4. Machine Learning ke use se cycle reduction hota hai or resources ka efficient utilization bhi kiya ja sakta hai.
5. Machine learning ka use autonomous computers, software development etc me kiya jaata hai.
Disadvantages of machine learning in Hindi
Jis cheej ka koi advantage hota hai uska disadvantage bhi jaroor hota he hai, ese he machine learning ke kuch disadvantages bhi hain.
1. Machine Learning me sabse bada challange hota hai Aquisition, jisme different algorithms par based hokar data ko process kiya jaata hai, or ise processed kiya jaata hai isi respective algorithm ke input ke according use karne se pahle. Isiliye iska significant impact hota hai results ke upar jo ki achieved ya obtained kiya jaata hai.
2. Second thing hoti hai Interpretation, jiska meaning hota hai ki results bhi result bhi ek major challenge hai. isse ye determine karna hota hai k machine learning algorithms ki effectiveness kitni hai.
3. Machine learning algorithm ke uses limited hote hai, saath me ye bhi surety nahi hoti hai ki algorithms hamesha sabhi imaginable cases me bhi kaam karegi. Imaginay cases me jyadatar machine learning fail ho he jaati hai.
4. Deep learning algorithm ke jaise he machine learning me bhi bahut se training data ki need hoti hai, itne saare data ke saath kaam karna bahut he difficult hota hai.
5. Jyada variability ka na hone bhi ek doosra limitation hai.
Conclusion
Hope aapko 'What is machine learning', 'Algorithm in Hindi' and "Advantages and Disadvantages of Machine Learning" Hindi me samajh aa gya hoga kis machine learning kaise kaam karti hai or iska use kaha kaha hota hai. Aage bhi isi tarh ke intresting topics ke liye newsletter subscribe kare ya regular visit kare.
EmoticonEmoticon