Tuesday, February 12, 2019

What is MCB? - Miniature circuit breaker | Mechanism of MCB

<h1> What is MCB? - Miniature circuit breaker | Mechanism of MCB</h1>

What is MCB - Miniature circuit breaker meaning and mechanism


MCB ka full name Miniature Circuit Breakers(full form of MCB). Aapne fuses ke baare me to suna he hoga or fuses ka use hum overload and Faulty Condition me apne appliances ko save karne ke liye karte hai. Lekin aaj ke time par Fuses ki jagah MCB ka use hone laga hai, kyuki Fuse se jyada better kaam MCB karti hi. MCB overload and faulty appliances me jyada better kaam karti hai.


What is MCB hindi me? MCB ek electrical Switch hai, jo ki fuse ki tarah bhi kaam karta hai. Jab kisi circuit me current ki amount jyada ho jati hai to MCB apne aap off ho jati hai. Pahle kuch decades me Fuses ka use kiya jata tha lekin aajkal MCB ka use widely hone laga hai. MCB overload hone par apne aap off ho jati hai, or hum MCB ko dubara On kar skate hai, lekin Fuse ke case me esa nahi hai hame poora fuse he change karna padta hai. Is article me hum aapko MCB in Hindi and working ko explain karenge. So let's get started.


Structure and Interior components of MCB


Agar aapne kabhi MCB open kiya hoga to aapko mcb ke components ke baare me pata haoga. Lekin shyad un sabhi components ki working ke baare me nhi pata hoga.  MCB ko manufacture karte time uske andr bhut saare components lagaye jaate hai. In sabhi components ka apna apna kaam hota hai.To aaiye in sabhi components ke baare me jaante hai.

  1. Supply Terminal
  1. Arc Chamber
  1. Body
  1. Magnetic Element
  1. Operating Knob
  1. Operating Mechanism
  1. Fixed Contact
  1. Bi-Metallic Strip
  1. Load Terminal
  1. Plunger
  1. Tripping Lever





Miniature circuit breaker
MCB (Miniature Circuit Board)


In sabhi components se MCB manufacture hoti hai. Ab hum janenge ki MCB work kaise karti hai?. MCB Trip kaise hoti hai.



Working of MCB in Hindi


Upar ki Image me aapko pata lag gya hoga ki MCB ke andr kon kon se components hote hai. Neeeche diagram hai jiski help se hum ise easily samaj payenge ki mcb kaise kaam karti hai. MCB ke andar two ways me tripping hoti hai, jaisa ki humne btaya MCB overload or short circuit ke kaaran trip hoti hai. Lekin in dono tripping ke liye MCB me do alag alag cheeje lagai gyi hai. To hum pahle baat karte hai MCB overload condition ki.



Overload Current MCB Tripping


MCB me Bimetal Strip hoti hai jo ki metals ko mix karke banai jaati hai, jisme 1 metal heatup hone par doosre se kam expose hoti hai. Isi kaaran jab MCB par current increase hota hai tab Bimental Strip heatup(garam) hone lagta hai or jiske kaaran isme lagi metal kam expose(failti) hai or doosri metal jyada. Iske kaaran Strip bend ho jati hai or bend hone ke saat- saath Tripping Lever ko apne saath pull karti hai, or MCB trip ho jati hai.


Short Circuit MCB Tripping


MCB kisi bhi appliance me fault aane par Trip ho jaati hai, agar kisi bhi electrical appliance ke andar short circuit ho jaata hai to MCB Trip ho jaati hai. Reason kya hai iske andar lagi hoti hai Solenoid Coil. Solenoid Coil ke baare me aapne 12th me Physics me study kiya hoga. Jab short circuit hota hai tab MCB  me lagi "Solenoid Coil" me bhut he jyada magnetic field generate hoti hai jisse ki MCB ke andar lage "Plunger" ko ye magnetic field aage ki taraf push karti hai, jisse ki Tripping Lever bhi is force se aage push ho jaata hai or hamari MCB Trip ho jaati hai.


Ab aapko pata lag gaya hai ki MCB Overload and MCB Shortcircuit kaise kaam karti hai. MCB ko use karne ka sabse jyada benifit Short Circuit me hota hai, MCB bhut jaldi kuch he mili seconds me trip ho jaati hai jiske kaaran hamara nuksaan hone se bach jaata hai.


Types of MCB In Hindi - MCB ke Types


Jaisa ki hum jaante hai ki MCB ka use domestic(gharelu/home) or industrial level par kiya jaata hai. Isiliye ise dono purpose ke use ke liye alag alag bnaya jaata hai. Mainly 5 types ki MCB hoti hai, jinki list neeche given hai. In sabhi ko explain karne ke baad hum example dekhenge jisme hum MCB ka full load current ya Rated Current 10 Amp(ampere) consider karenge.

1. Type - B MCB

Agar kisi MCB ka full load 10 ampere hai or type- B ki MCB hai to agar uske andar 30 se 50 ampere current flow ho jaata hai to MCB trip ho jaati hai.

2. Type-C MCB

Or isi type se agar type-C MCB hai or uska full load current 10 ampere hai to MCB 50 - 100 Ampere current flow hone par Trip ho jayega.

3. Type-D MCB

Same as agar type-D MCB hai or full load 10 Ampere hai to MCB 100 - 200 ampere current flow hone par  trip ho jayega.

4. Type-K MCB

Agar MCB type-K ki hai or uska full load current 10 ampere hai to MCB 100 - 150 ampere current flow hone par Trip ho jayegi.

5. Type-Z MCB 

Agar MCB type-Z ki hai or uska full load current 10 ampere hai to MCB 20-30 ampere current flow hone par trip ho jayega.

mcb rating chart
MCB Ratings

Benefits of MCB- MCB lagane ke faide


1. MCB ek automatically switch off hone wala circuit hai joki circuit overload me overload current or short circuit ke kaaran apne aap Switch Off ho jaata hai, or MCB Fuse ke comparision me bhut fast work karta hai.


2. MCB ko hum trip hone ke baad fir se ON kar sakte hai lekin agar Fuse ek baar damage(जलने के बाद )  ho jata hai to humko new Fuse use karna padta hai.


3. Agar hamari MCB baar-baar trip hoti hai to hm MCB ko fir se use kar sakte hai, lekin fuse ki condition me har baar new fuse use karna padega jisme ki bahut jyada cost lagegi.


4. MCB ka use fuse ke comparision me bhut he jyada Secure(safe) hota hai.


Conclusion

To is article "MCB Kya Hai or kaise kaam karti hai?" me humne aapko MCB se related poori information dene ki koshish ki hai, iske alawa koi bhi further questions ho to comment me jaroor pooche or koi bhi topic suggest kare jiske baare me aapko jaanna hai.


EmoticonEmoticon