What is CMD in Hindi
Kya aap jaante hai CMD kya hai? CMD ki full form Command Prompt hota hai. Agar aap apne computer system ko DOS command se operate karna chahte hai to aapko kuch important CMD commands ka use karna hoga. Humne ek blog post me kuch important CMD commands in Hindi me list ki hui hai aap chahe to unko bhi read kar sakte hai. Is blog post me hum log janenge ki CMD ka color kaise change kare? So let's begin.
How to Change color in CMD in Hindi
Aap sabhi log waise to command prompt k bare m jante he honge. Aaj hum janenge ki change color in CMD. Ye ek old type ka program hai jo ki windows PC m preinstalled ata hai, jispee hum bhut saari commands ka use karte hai jaise ki ping, ipconfig etc. CMD open karne k liye aapko just start button p click karna hai ya fir windows key press kare or cmd type kare and then enter.
Waise to ye ek purana DOS(Disk operating system) program hai jo ki pahle k operating systems m use kiya jata tha. Isse new folder banana directory check karna windows ka version check karna files ko delete karna. Aur ye sb kaam pahle, jab tak hamare pass GUI(Graphical user interface) nahi tha commands k through he karna padta tha.
Aur aap sabhi jante he hai ki command prompt ko use karna kitna boring lagta hai. Mere pass ek asi command hai jisse aap command prompt ko use karenge to aapko bore jaisa ya wahi black and white jaisa nahi dikhega to chaliye dekhte hai ki isko kaise use krna hai. Ab hu step by step janenge ki how to change color in command prompt.
Steps to change color in CMD
1 - Sabse pahle aapko apne pc/computer m command prompt kholna hai.
2 - Uske baad agar aapne koi work pahle se kiya hai to ya to clear kar de (cls command k through) ya fir aap usi k upr v ye command use kar sakte hai.
3 - Aapko simply bs ye command type karni hai apni cmd window m
"help color"
4 - Fir aapke samne bhut sare lagbhag 7 colors aayenge choose karne k liye to aapko unme se ek choose krna hai jo aapko aacha lage. Uske baad aapne doosri command type karni hai number of color and color for example jaise ki aapko purple color pasand hai jaise ki mje v hai , to aapko bs "color 05" type karna hai aur aapki cmd window k fonts letters sabka color purple ho jayega.
To hai na ye bhut he simple si command. jisse ki aap command prompt ko attractive aur good looking bana k apna kaam bina boriyat k kar sakte hai. Waise to bhut saari commands hai jo ki command prompt m use ki jati hai.
Command promot features in Hindi
1 - Jaise ki aap apne pc/laptop ko hotspot m v change kar sakte hai wo v sirf kuch commands ka use karke.
2 - Aap khud ki IP ho hide kar sakte hai aur iinternet se disconnect ho sakte hai.
3 - Aap khud ko sare medias wireless LAN network se disconnect karke khud ko trace hone se chupa sakte hai.
4 - New directory aur folders bana aur delete kar sakte hai.
5 - Apne computer m saved files ko hide aur move v kar sakte hai.
6 - Command prompt se hide ki gayi files ko simply show hidden files k dwara v unhide nahi kiya ja sakta hai aur aapka private data safe rahega.
Aur v bhut saari useful aur important command prompt commands hai jinka use karke hum apne pc/laptop m bhut saare interesting aur mazedaar kaam kar sakte hai. Waise to command prompt ko sabhi log bhut he old aur bekaar software/program samajte hai ki ye kisi kaam ka nahi hai, lekin m aapko batana chahta hu ki jo aap log Linux k jitney v operating systems use karte hai chahe wo Ubantu ho ja fir Kali Linux jo kie ek bhut he powerful operating system hai aur hacking k liye use kiya jata hai. In sab operating systems m saara kaam commands k through he kiya jaata hai agar aapko command prompt aache se use karna ata hai to aap in saare operating sytems ko bhut he aasaaani se use kar sakte hai.
M kuch aur articles lekar aaunga jisme aapko aur v commands k bare m btaunga jo ki bhut he useful aur kamaal ki hai.
Conclusion
Hope aapko ab change color in cmd karna hai aa gya hoga. Agar aapko ye commands use karne m problems hoti hai ya fir ho sakta hai aapke computer p kaaam na kare to aap problem ko comment box m bhej de ya fir aapke pass kuch advices hai to aap unko v hame bata sakte hai. Ho sake to ye cmd color changing trick or cmd change directory apne friends ke sath bhi share kare.
EmoticonEmoticon