Sunday, March 3, 2019

Bounce rate in google analytics | SEO in Hindi

What is bounce rate in google analytics

Agar aap ek blogger hai to aap bounce rate ke baare me bahut aache se jante honge ki What is bounce rate in google analytics? or ise Bounce kaise check karte hain?. Bounce rate Readers or content ke beech me relation btata hai. Bounce Rate kam hone ka matlab hai Readers ka Content ke saath aacha relation. Mtlab readers ko content,Writing style, Post format sb kuch pasand hai. Bounce rate kya hai? 

बाउंस दर एक इंटरनेट मार्केटिंग शब्द है जिसका उपयोग वेब ट्रैफ़िक विश्लेषण में किया जाता है।

bounce rate kya hai
Bounce rate kya hai


Bounce Rate kyu Kam hona chaiye?

Sabhi bloggers hamesha yahi chahte hai ki uske pass - More Content, More Readers, More Comments, More high quality backlinks, More Traffic, More followers and More Clicks and money

Ye sab cheeje SEO(Search engine optimization) se he possible hai. Bounce rate bhi SEO ka he part hai.

Bounce rate low ka mtlab hai ki reader blog par kuch time ke liye ruk raha hai. i.e koi visitor aapke blog ke other pages ko bhi open kar rha hai, mtlab aapka blog usko intresting lag raha hai.

  • Low bounce rate means More pageviews.
  • More Pageviews means More comments.
  • More pageviews means more clicks and then more money.
  • More pageviews means more subscribers.
  • To dekha aapne bounce rate kitna importance rakhta hai hamari website ya blog ke liye.


To chaliye ab baat karte hai ki bounce rate kaise kam kiya ja sakta hai.
Bounce meaning in Hindi

Bounce rate kya hai- Kaise kam kare

Bounce rate

Bounce rate kam kaise kare


Speed of Site

Iska mtlab ye hai aapka blog ya website open hone me kitna time leti hai. Site open hone me jitna jyada time lgega utne aapke visitors loss honge or bounce rate iski wajah se bhi jyada ho jata hai. Site ko optimize kare or site speed increase kare. Iske liye aap small size ki images ka use kare taaki site jldi se load ho jaye.

bounce rate in google analytics


Website Design

Design aapki website ka responsive hona chaiye, or UI(user interface) aacha hona chaiye taaki readers ko navigate karne me koi problem na ho or wo other posts ko bhi read kare or aapke blog par more pageviews de. Sabse pahle kisi bhi website ya blog ka design he matter karta hai ki kitna attractive or reading ke liye comfortable hai. Jyada colors ka use na kare jisse readers ko read karne me koi bhi dikkat ho.


Low Quality Content on Blog

Quality of the content bhut matter karta hai kisi bhi blog ke liye. Agar aap 1000 words ke articles write karte hai or wo aachi quality ka nahi hai, kahne ka mtlab ye hai ki aapne bas esi ulta sulta na koi aacha format na koi clear information bas aapne apne words ko increase karne ke liye bade bade articles likh diye. So this is the bad quality content. Content keywords se related likhe taaki aapki post search result me bhi aaye. Title ke according he apne articles likhe. Copy paste wala kaam kabhi na kare.

Tips for reducing bounce rate

Bounce rate kam karne ke advantages


Copy pasted Content

Content kabhi bji kisi other blog ya website ka copy na kare or na he writing fonts milne chaiye. Hamesha khud se he articles likhe isse aapko bhi aacha writing knowledge milega or aap on page SEO bhi aache se seekh payenge. Copy paste content se aapka blog google ban bhi kar sakta hai or aapka adsense approoval to bhool he jao smjho.


Blog Articles writing format

Standard writing format use kare, ya fir khud ka koi format use kare. Jisse readers me writing format aapke blog ki alag pahchan bane. Or har post me apna khud ka uniuque same font format use kare. Bar bar writing format change karne se user confuse ho jaata hai.


Interlinking(Bad or no interlinking)

Blog posts me other posts ko jaroor se link kare. Isse hoga ye ki aapko khud ke blog pe he backlinks mil jayenge or aapne jo articles link kare hai unki value bhi or increase ho jayegi or search result me ane ke chances or bhi increase ho jaate hai. 


Single page Blog or Website

Blog ke post kisi other post se link nahi hai to ese me users next page visit karenge iske chances bahut jyada hai. Ese me jaroori hai page ya fir post ke andar intrested, evergreen post ke link jaroor link kare.

Bounce Rate kya hai

Bounce Rate of Website

Bounce rate Meaning

Bounce Rate Definition


Conclusion

So friends hope aapko samajh me aa gya hoga ki Bounce rate kya hai?, Bounce rate ko kaise kam kare? Yaha jo tips aapko btayi gyi hai unse aapka bounce rate to kam hoga he saath he website ya blog ka bhi SEO ho jayega or SEO matters. SEO aacha hoga to traffic bhi aacha milega.


EmoticonEmoticon