Wednesday, March 6, 2019

Top 10 Newspapers of India | Indian Hindi News Paper - Tech Reflexes

Top 10 Newspapers of India | Indian Hindi News Paper

Top ten Newspapers of India - Bharat ke top 10 akhbaar

Top 10 Newspapers in India Bharat ke kuch jaane maane akhbaar. Digital media ke aa jane se Print Media me kuch bahut bade changes hue hain. Print media me bhi bahut bada revolution aa gaya hai. Jab tak digital media ne m media ki duniya me kadam nahi rakha tha, to news ke liye bhut saare news reporters ko rakhna padta tha. Time se khabar print media house tak nahi pahuch paati thi, bahut saara time delay ho jata tha or bahut si khabare next day ke newspapers me print karani padti thi or news utni jyada updated nahi rahti thi. 

'Digital media' ke aa jane se bhut bda change hua hai, jaise aaj kahi bhi koi bhi baat hote he alge he kuch palo me live telecast shuru ho jaata hai or saari duniya ko ghatna ki jaankaari turant he live mil jaati hai. Ye sab possible ho paaya digital media ke aa jane se. Digital media ke aa jane se print media ko bahut he aasaani se or kam time me khabar(news) milne lagi jisse har news time par print honi shuru ho gayi. Aaj hum aapko btane wale hain ki "Bharat ke top 10 newspapers" kon se hai ke baare me batayenge. 

Top 10 Newspapers of India. Digital media me kitna bi bada revolution kyu na aa gaya ho, lekin Print media kabhi khatam nahi hoga. Aaj bhut ese bloggers ese hain jo Kindle par book padhne ka aanand utha sakte hain, lekin aaj bhi wo Print book ko he padhna pasand karte hain. Print copy padhne se aasaani se underline kar sakte ho. Agar aap kuch likhna ho to likh sakte ho, basically me bhi print books he pasand karta hu.


Dainik Bhaskar

"Dainik Bhaskar" India ka jaana maana Hindi newspaper hai. Print media ke alawa Dainik bhaskar ka digital media me bhi kaafi name hai. Print media ke saath ye ePaper ke roop me bhi available hai. Desh me ye 12 states se 37 versions me print kiya jaata hai. Bhasha ka dhyaan rakhte hue ye alag alag languages me bhi print kiya jaata hai or bharat jaise desh me to itni saari languages hai so iski jaroorat bhi hai he.  Gujrati me Divya bhaskar English me DNA ke roop me publish kiya jaata hai iske saath he Aha Jindagi ke roop me bhi patrika publish ki jati hai. 2015 me jab "Dainik Bhaskar" ne apne business ko Bihar me badhana chaha or wo sarting phase me the tab bhut si marketing or Surveyer team ke saath bhut dino tak Bihar me bhi khud ko establish karne me safal raha. Iske alawa Money Bhaskar se log apne business me kaise sucess ho isse seekh or padh sakte hain.


India ke top 10 newspapers
Top 10 newspapers of India

Year 1956 me Dainik Bhaskar ne pahla newspaper Bhopal me Subah Sawere name se publish kiya tha. Year 1957 me English name "Good Morning India" se Guwalior me publish kiya tha iske baad 1958 me name change karke Bhaskar Samachar rakh diya gaya. Baad me 2010 me fir se iska name change karke Dainik Bhaskar rakh diya gaya or ye name avi present me chal raha hai.

आजादी से लेकर 2015 तक केवल अंग्रेज़ी अखबार ही देश में सबसे अधिक पढ़े जाने वाले अखबार होते थे. 2015 में पहली बार दैनिक भास्कर देश का सबसे अधिक पढ़ा जाने वाला अखबार बना.

Dainik Jagran

India bahut he bada country hai yaha 29 states hain or population bhi world ke 2nd number par hai. Hamari aabadi itni hai ki bhut se desh shamil ho sakte hain. Dainik Jagran north India ka sabse jyada padha jane wala newspaper hai. Pichle bhut saalo me ye newspaper sabse jyada padha jane wala ek popular akhbaar ban chuka hai. Year 2008 me BBC or Roitors ki listing ke anusaar Dainik Jagran India ka sabse jyada padha jane wala newspaper(अखबार ) hai.

Dainik jagran 3rd India's most readable newspaper in North India
Dainik Jagran

Is newspaper ki starting bahadur freedom feighter श्री पूर्णचन्द्र गुप्त ने 1942 me kiya tha. 1942 me English man(angrez) jab bharat par raaj kake baithe hue the or bharat Aajaadi ke liye sangharsh kar rha tha tab Bharat Chodi andolan shuru hua tha. Isi time par Shri Poornchandra Gupt ji ne Dainik Jagran ki neev rakhi thi. Iska pahla edition 1942 me Jhaansi se jaari kiya gaya tha. Year 1947 me iska Headoffice Jhaansi se Kaanpur bana diya gaya. Dainik Jagran newspaper ke saath kuch booklets bhi publish karta jaise ki Jhankaar, Yatra, Joosh, Sangini or Nayi Raahein (झंकार, यात्रा, संगिनी, जोश, नई राहें ) . Iske alawa Dainik Jagran group ne education ke field me bhi bahut bahut yogdaan diya hai.


Punjab Kesri

Punjab Kesi ki shuruat Shri Lala Jagat Narayan ne year 1965 me ki thi. Lala Jagat ek freedom feighter, vidhaan sabha member, lok sabha member or Hin News Media group ke founder rah chuke hain.Punjab Kesri ki shuruat the Hind News limited Banner ke basis par hui thi. Pubjab Kesri aaj Pubjab ki sabse badi media group hai. Jo punjab ke bhut places se news publishing ka kaam kar rahi hai.


punjab ka sarwadhik padha jaane wala newspaper
Punjab Kesi the Voice of Punjab


HT Media Ltd.

Hindustaan Dainik ya Hindustaan Times ye desh ka 3rd sabse jyada bikne wala newspaper hai. Hindustaan media ke under ye newspaper Bihar, Uttarakhand, Jharkhand, Up ke liye Delh se publish kiya jaata hai. Hindustaan times Bihaar state ka sabe famous newspaper hai. HT Media hindustaan newspaper ke saath saath kai other online portal bhi chalati hai. Jisme Shine.com hai jo ki ek Job portal hai. Hindustaan Media Limited ki shuruat 12 April 1936 me hui thi, ye English me Hindustaan Times or Mint bhi publish karti hai.


Amar Ujala

Amar Ujala North India ka Dainik Jagran ke baad sabse jyada bikne wala newspaper hai. Amar Ujala 20 versions ke saath 7 states or India ke 180 Districts me publishing kata hai. India readership survey ke anusaar 2017 me India ka 3rd sabse jyada padha jaane wala newspaper bana. Amar Ujala ki shuruat 1948 me Aagra se hui thi. Amar Ujala har din 16 -18 page ka newspaper publish karti hai. Amar Ujala ki shruat Aagra e jaroor hui thi lekin aaj iska Headoffice Connnaught Place Delhi me hai.


Rajasthan Patrika

Rajasthan Patrika ki shuruat 62 year pahle 7 March 1956 me hui thi, iske founder Kapoor Chandra Kulish the. Iska Head Quatar Jaipur Rajasthan me hai. Rajasthan ke alawa 7 or other states se bhi ye publish kiya jaata hai. Indian Readership survey ke acccording 2013 me ye India ka 4th sabse jyada padha jaane wala newspaper tha. Rajasthan Patrika ne digital world me bhi apna name banaya or iska Digital Platform bahut jyada name kama rahi hai. Social media me kuch alag karne ki shuruat Rajasthan Patrika ne he kiya tha, jaise sab states ka alag alag Facebook Page bana rahi hai.

Iske alawa bhi kuch or Newspapers hai jo Top 10 Newspapers of India ki list me shamil kiya gaya hai, lekin unke baare me poori details share nahi ki gyi hain.

  • Prabhaat Khabar
  • Jansatta
  • Hari Bhoomi
  • Nav Bharat Times
  • Jan Morcha
  • Dainik Savera Times

Read these also


Conclusion

Hope ye information aapko pasand aayi hogi. Agar useful lage to comment jaroor kare or kahi pe koi mistake ho to bhi comment me mention kare. "Top 10 newspaper of India" share this article if you like it.


EmoticonEmoticon