Sunday, February 11, 2018

Whatsapp UPI - send money with whatsapp | Hindi me

Whatsapp UPI - send money with whatsapp | Hindi me

WhatsApp se paise kaise bheje WhatsApp UPI (Unified Payment Interface)

WhatsApp payment kya hai?

What is Whatsapp UPI? Hello frends jaise jaise hm digital world m or deeply involve or enter karte ja rahe hai waise waise hm new technology se judte jaa rahe hai. Abhi haal he m WhatsApp payment UPI yaani 'WhatsApp UPI' service apni launch ki hai. Ab hm WhatsApp messenger App k through messages media k saath saath paise bhi hej sakte hai.Agar aapko nahi pta to aapko is article m full step by step process k sath WhatsApp UPI ko use karna sikhaya jayega.

About WhatsApp UPI

WhatsApp Buisness App launching k time he esi news aayi thi ki is year "WhatsApp UPI" Payment System Service launch karne wali hai. Ye ek UPI (Unified Payment Interface hai)service hai jo ki person to person payment send ya receive karne k kaam ati hai.
WhatsApp ne #DigitalIndia k antargat WhatsApp UPI App ko Indian market m launch kiya hai. Is service se koi bhi  WhatsApp user kisi other WhatsApp user ko money send kar sakta hai or receive kar sakta hai wo bhi easily.



whatsapp upi - unified payment interface
Whatsapp UI - unified payment interface

 

WhatsApp UPI Features, kya kya hai

Baaki k UPI Apps k jaise he ise bhi Bank Accounts se connect karna pdta hai. Lekin iske saath kuch ese features hai ko ki shayad kisi or UPI payment app m nahi milte hai, jaise ki

 
1. WhatsApp UPI ka koi alag App nahi hai ya bilkul Paytm Payment Bank jaisa feature hai. Bas hm apne WhatsApp App ko update karke is feature ko add kar sakte hai.

 
2. Kyuki WhatsApp sabhi logo k pass hota he hai or India m jiske pass Smartphone hai uske phone m WhatsApp to 100% hota he hai. Or ese m sabke liye WhatsApp UPI use karna bhut he aasaan hoga.




 
3. Abhi tak UPI Service use karne k liye hame ek UPI App Download karna pdta hai,lekin isme esa nhi hai, isme koi bhi extra App download karne ki jaroorat nahi hai.


WhatsApp se paise kaise bhejte hai?

Abhi India m log Banks m jakar paise jama or transfer karte aa rahe hai lekin kuch time se jab se UPI, BHIM UPI payments "Google Pay", "Paytm" jaise applications aaye hai logo ko paise bhejna or receive karna bhut he simple ho gya hai. Ye sabhi apps hmare bank accounts se link/connected rahte hai to paise seedhe account se send or seedhe account m receive hote hai. "WhatsApp UPI" oro se jyada simple hai jise ki normal persons bhi badi he aasaani se use kar sakte hai. Or mujhe lagta hai ki ye abbhi tak ki sabse aachi UPI application hai kyuki isme hmko messaging service k saath saath payments dono ek saath mil jata hai.

"WhatsApp Payment App" abhi tak sabhi logo k WhatsApp m add nahi hua hai. Isliye sabse pahle hame Google Play Store se apne WhatsApp ko update karna hoga. Update karne k baad Payment option bhi add ho jayega. Latest version m update karne k baad, WhatsApp UPI app create karne ki need hoti hai. Iske liye hame apne WhatsApp App ko open karke kisi bhi jise hm chahe 1 chat ko open karna hota hai, or fir files icon par click karna hota hai. Yaha par hame "WhatsApp Payment" ka icon mil jata haifir hame ispe click karna hota hai.

whatsapp upi kya hai


Payment icon par click karne k baad hame apne Mobile number Verify karna padta hai, iske liye hame verify via/through sms par click karna hota hai or bank select karna pdta hai(jis bhi bank ka hamara account hai). Bank add karne k baad WhatsApp payment ready ho jaata hai. Kisi ko paise send ya receive karne k liye. Agar koi person hmare saath WhatsApp m add hai to uske pass bhi "WhatsAp UPI" account hai to hm use direct WhatsApp number par paise send kar sakte hai.


Google Pay par WhatsApp Payment UPI effect?

Google Pay is present time par sabse jyada use hone wala UPI app bana hua hai. Google jaise company ki security or trust ki wjh se, abhi tak jyadatar log UPI se piase send/receive karne k liye google Pay ka he mostly use kar rahe hai. Kyuki isse paise send karne par hame reward bhi milta hai so iski wjh se logo ki kuch earnings bhi ho jaati hai. Or referal reward k taur par hame 51 rupees milte hai direct bank account m wo bhi.


WhatsApp UPI ki wajah se Google Pay par jaroor effect padega

 

1. Google Pay shayad sabhi phones m installed na ho, kyuki bhut se log apne phones m jyada apps nahi install karte hai. Logo ko 1 he app m bhut saare features chaiye hote hai. Or ese m WhatsApp to har kisi k phone m hai he to log messaging service k sath sath payments services ka bhi feature ek saath use kar sakte hai so kahi na kahi google tez par ye bhut bada effect dalne waala hai.


2.WhatsApp UPI whatsapp m he add hai so logo ko jyada problem nahi hogi or jinke phones m RAm kam bhi hai unko 2 apps ka kaam 1 he application m karne ko mil jayega so ye ek aachi baat hai.


3. WhatsApp use karna sabhi log villages or cities k log bhut he aache se jante hai so koi problem nhi hogi users ko.


Present time m personally Paytm, Google Pay he use karta hu or Paytm to bhut saare features deta hai shopping se lekar insurance, recharges, booking all etc. Or ab to "Paytm" m hi BHIM UPI ko add kar diya gya hai or UPI se paymtnt karne par 50 Rupees ka cashback bhi mil raha hai.Ab dekhte hai "WhatsApp UPI" in apps ki services ko kitna effect karti hai. Kya pata future m payment k name par sirf WhatsApp Payment yahi chale bas.


Aaj he apna WhatsApp update kare or WhatsApp buisness app k baare m agar aap log nahi jante hai to jaroor padhe. Thnkxx for visiting keep gaining knowlegde and spread to others.


Related Searches

Whatsapp Business App, Whatsapp Download For PC (Windows 64bit), Whatsapp UPI, Whatsapp group link, Whatsapp, Whatsapp Link, Whatsapp Dp, Whatsapp Video, Whatsapp Status, Whatsapp Web, Whatsapp Business Model, whatsapp download for samsung, मुझे whatsapp डाउनलोड करना है, Whatsapp खाता बनाने, Whatsapp Download Google Pay, Paytm, BHIM UPI, Unified Payment Interface, UPI Payment App


EmoticonEmoticon