Sunday, January 7, 2018

How to get free Domains - free domains for blog or website

How to get free Domains - free domains for blog or website

How to get free Domain for Blog - Freenom(.tk, .ml etc)

Free domains kaise buy kare

Wanna to get free Domain for blog. Hello friends aaj m aapko btaunga 'how to get free domains' for your blog or website is article m bhut he intresting or useful topic k baare m btane ja raha hu, jo ki aap sabhi logo k bhut he kaam aayega. Domains? Waise to aap sabhi log Domains k baare m jante he honge ki domain kya hota hai. Lekin fir bhi m thoda sa revise k liye bta du ki domain ek particular name hota hai kisi bhi website ka. For example facebook.com, google.com etc so friends ye sab names hai websites k or jo in websites ya kisi bhi websites k peeche extension lagta hai jaise ki .com, .in, .info, .org, .tk, .ml, .co etc ye sabhi Domains ki category m ate hai inhe he hum domains kahte hai.


     So Domain ki need kyu hoti hai? Suppose that aap kisi website ko develop karte hai or uska koi name choose karte hai, jaise ki aapne kisi photography ki website bnai ya khud ka name se register karna chahte hai to wo internet par visible kaise hogi. Iske liye aapko web hosting ki need hogi jisse ki aapki website poore internet par visible hogi. Lekin kisi bhi website k liye domain bhut he necessary hota hai. Bina domain k wo internet par kisi bhi search result m show nahi hogi.



free domains
Get free domains for your blog
    


Top 3 domain provider companies in India

So Domain aap bhut saari famous domain provider companies/websites se buy kar sakte hai jaise ki Godaddy.com, Bigrock.in, namecheap.com etc bhut saari trusted or famous websites hai jo aapko hosting and domains provide karati hai. Lekin is article m aapko btaunga ki kaise aap free domains le sakte hai even bina 1 rupee kharch karke. To aap is article ko poora read keejiye or apne liye free domain buy kare or khud ki website par use kare for 12 months. Sabse pahle m un websites k baare m btaunga jo free domains provide karti hai, dot.tk, freenom.com ye dono bhut he famous websites hai jo free domains provide karati hai. Sabse pahle aap apna koi blog bana le blogger.com ya worldpress.org ya wix.com par.


     Uske baad aap inme se kisi bhi websites se "free domain" buy kare. Procedure bhut he simple hai bas aapko in websites m account create karna hai. Account create karna aasaan hai aap aone gmail account ya facebook account se login kar sakte hai.


Fir aapko apna e-mail address verify karna hoga agar aap gmail account se sign up karte hai to. Uske baad aapko apni choice ka domain search bar m search karna hai. Fir aapko related domain list show hogi jaise ki anything.tk, .ml etc ye saare "free domains" aapko search results m show honge. Fir aapko apni choice se related koi v domain ko select karna hai or fir proceed par click kar dena hai. Next aapke samne checkout window show hogi aapko us checkout window m aapka choosed domain show hoga or price lekin ye domains bilkul free hai so price will be 0.00USD so aapko checkout karna hai or aapko free domain mil gya hai.

     Iske baad aapko DNS management m jana hai or apne related domain ko related website jo aapne banai hai ya blog se connect kar dena hai. Thats all aapki website par free domain activate ho jayega within 30 minutes. Ye free domain aapki site par 12 months k liye free of cost rahega.

Jis time aap "free domain" ko checkout karenge us time aapko wha par option milega ki aap kitne time period k liye free domain use karna chahte hai wha par aapko 3 months, 6 months, 12 months ka option milega to aap koi sa bhi choose kar sakte hai. Agar aap paid use karna chahte hai to after 12 months aapko list m usi domain ka 2 years 3 years ka price bhi mention milega aap chahe to paid omain bhi use kar sakte hai. Lekin m yahi recommend karunga ki aap 12 months wala free domain plan he use kare.



get free domains
Get free domains for your blog or website
     

Ye free domain and hosting providers websites aapko sabse low cost effective domains provide karte hai. Agar aap .com, .in, .org ya koi bhi domain buy karna chahte hai to in websites se le aapko bhut he cost effective price par milega ya namecheap.com se buy kare. Agar aap starting stage m hai website ya blog m or hosting lena chahte hai to shuru m aap hamesha shared hosting he le. Ye aapke liye benifecial rahega or cost bhi kam rahegi. Isko baby plan hosting se bhi jana jata hai.

So starting m jyada costly hosting kabhi bhi buy na kare. Agar aapke pass bhut he jyada traffic hai so aap aachi Linux ya Windows hosting le sakte hai otherwise aapko starting m Linux ya windows hosting ya deicated servers lene ki koi need nahi hai. Aapka kaam baby plan m bhi chal jayega. So friends is article m maine aapko kuch "free domain provider" websites ya companies jo bhi kahe unke bare m btaya aap in websites p jaroor visit kare.


Carreer In Blogging

Blogging field m "free domain" use karke apna blogging carrier aage proceed kar sakte hai. Blogging ko carrier k way m choose karna sahi bhi hai or galat bhi. Right way ye hai ki aap "blogging" k liye dedicated hai totally or aap isko ek earn money online k way m nahi le rahe to aap ek successful blogger ya blogging m apna carrier bana sakte hai. Or aapko apne kaam/blogging k liye disciplined hona padega otherwise aap success nahi ho sakte.


Blogging ko ek passion k way m lenge to aacha rahega. Blogging is a passion. So friends aapko ye article free domain kaise purchase kare or baby hosting plan ye sab kya hota hai maine wo topic bhi isme cover kiya. How to get free domains article aapko agar aacha laga ya koi v related technology related internet security related questions ya queries agar ho to neeche comment box m jaroor pooche. Please comment share and subscribe. Thankx for reading this article visit again for more intresting and useful information.


Related Searches

Domain name, Domain, Domain Registration, Freenom, Domain authority checker, DNS(Domain Name System), Free Domains, Get free domains for blog, Freenom, Free Domain list, Free Domains India, Free Domains for students, Free domain and Hosting


EmoticonEmoticon