Saturday, November 25, 2017

2 Factor Authentication For Facebook and Twitter Enable kaise kare

2 Factor Authentication For Facebook and Twitter Enable Kaise kare

Apne facebook account or twitter account ko "two factor authentication" se kaise enable kare

What is 2 factor Authentication? Aaj ki date  m security poore world m sabse bada isse ban gya hai aur sabhi log or organisation jitne v cheeje IT se related hai online hai internet par hai sabko security ki jaroorat hoti hai. Aur log bhut se tareeke choose kar rahe hai apna data ko protect karne k liye. Kya aapka account safe hai? Jyadatar social networking or social media sites jaise ki facebook jo ki sabse badi social networking site hai, twitter bhut saare security options apne users ko apne account ko protect rkhne k liye provide karte hai. Lekin apne account ki security khud uses k hath m hoti hai 1 choti se glti ya glt phishing page p jane se account compromise ho sakta hai. Bhut saare log apne account k liye ek simple sa password choose karte hai jaise ki unka name, date of birth, pet name, nickname, mobile number etc. jisse ki unko password hmesha yaad rahega. 




Jaise jaise security issues increase hote ja rahe hai waise waise facebook or other sites ne security concerns ko dhyaan m rakhte hue accounts ki security ko aur v jyada tight kar diya hai. Jaise ki facebook ne ab apne users ko two factor authentication security ki fascility provide kar di hai. Isse hoga ye ki aap jab jab v apne facebook account login karenge jis jis device se ya kisi bhi browser se utni baar aapke registered mobile number par ek "6 digit authentication code" aayega jab aap us code ko enter karenge tabhi aap apne facebook account m login ho payenge.

To ye tha facebook two step verification or two factor authentication.

Read this also:


Two factor authentication ek bhut he simple way hai security k liye ki aapka account secure hai compromise hone k chances almost none, aur aapka account bhut jyada secure hai. Jab aap "two factor authentication"on karte hai to aapko apna mobile number enter karna hota hai jo regular use m rhta hai on rhta hai hmesha. To jab aap login karenge apne facebook account m to aapko username or password dalna hoga fir uske baad aapke registered number p 6 digit code aayega usko enter karne k baad he aap login ho sakenge. Agar aapne abhi tak apne account par "two factor authentication" on nahi kiya hai to neeche diye steps ko follow kare:

Two factor Authentication for Facebook


STEP 1:

Sabse pahle aap apne "facebook" account par login kare jiske liye aap two factor authentication on karna chahte hai.



STEP 2:

Iske baad aap drop down menu ko choose kare or "setting" par click kare.



STEP 3:

Setting page k andar "security" and "login" option ko choose kare left side menu se or uske baad scroll down kare jab tak aapko neeche p setting up extra security section na mil jaye.



STEP 4:

Ab is option par click kare "two factor authentication" ko on karne k liye. Ab facebook aapko mobile number enter karne k liye poochega. Aapko bas apna mobile number enter karna hai or iske baad aapke mobile number par verification message aayega. Ab aapko is message se mobile number ko verify karna hai.

STEP 5:
Jab aap apna mobile number verify kar denge to aapke facebook account par "two factor authentication" on ho jayega aor aapka account or v secure ho jayega.




Two factor authentication on twitter




STEP 1:

Sabse pahle apne twitter account par login kare or uske baad settings and privacy par click kare apni profile picture par click karke.



STEP 2:

Ab account ko select kare left menu option m se aur uske baad enable the verify login requests option. Ab aapko mobile number enter karne k liye option aayega bas aapko mobile number enter karna hai jo aapne apne twitter account create karne k liye use kiya tha. Aur bas ho gya .




STEP 3:

Ab jab aapne mobile number enter kar diya hai to aapke mobile number par verification code aayega bas use enter karna hai twitter account m or "two factor authentication" aapke twitter account par enable ho jayega.



That's it ab aapne apne social media accounts par two factor authentication on kar diya hai ab aapka account pahle se bhut he jyada secure ho gaya hai. Bina aapke mobile number k koi v aapke account ko access nahi kar sakta hai. Agar aapke koi bhi questions ho related to aap comment m pooch sakte hai.


Related Searches

Two Factor Authentication, 2 factor Authentication, Two factor authentication apple, Two factor authentication facebook, two factor authentication google, Whats is 2 factor authentication, facebook sign up, Facebook Security, facebook secure account, twitter 


EmoticonEmoticon