Saturday, August 12, 2017

Facebook Apps Data Mining - Kaise karte hai

Facebook Apps Data Mining - Kaise karte hai


Pichle janam m aap kya the? Aapki maut kab aur kaise hogi? Kon sa bollywood celebrity aapki tarah dikhta hai? Kon peeth peeche aapki burai karta hai? Ase tamaam sawaloo k answers ab apps k through facebook par milne lage hai. Jigyasa aur mzaa dono k chalte bhut log in apps ka use kar rahe hai aur shayad aap v karte honge. Lekin is digital yug m facebook se in questions k answers janna aapko bhaari pad sakta hai.

Cyber expert Kanisk Kashyap batate hai, asi koi v apps facebook nahi chalata hai. Ise kuch log milkar he chalate hai. Koi v person facebook k app section m jakar app create kar sakta hai. Iska API generate karke application ko chalaya jata hai aur control kiya jata hai, isme lagbhag 5000RS he lagte hai. Ye questions logo ki excietement ko dekhte hue tayaar kiye jate hai aur unme 100-200 alag alag answers dal diye jaate hai. Jaise he aap in questions ka answer janne k liye click karte hai, aapki poori jaankaari aur aapki friendlist ki jaankaari doosri taraf baithe app creator k pass chali jati hai. Fir in information ka alag-alag use kiya jata hai. Jyadatar in information ko sell kiya jata hai. Market m 1 person ka data 35 paise se lekar 5 rupee tak k price par bikta hai. Hackers, call centers aur education institutes is data k bade buyers hote hai. Tabhi to bina subscribe kiye home/ghar khareedne, baalo ko jhadne se roke aur patle hone k messages ate rahte hai. kya is tarah k mamlo m kuch log fase v hai?




Kanish ek wakya batate hai, pichle dino kuch logo ne mje shikayat ki unka personal chat ka facebook data nikaalkar unse paise mange ja rahe hai. Bad m jab maine ispar kaam kiya, to pata laga ki wah sabhi log facebook k andar in apps ka use kar rahe the ki, aapke upar kon se bhagwan ki kripa hai' aur hacker usi k jariye password crack karke facebook account k andar pahuch tha. Bakol Kanisk, ladkiya is tarah k hackers ka khaas shikaar hoti hai.


Trap Kar Lete Hai Dharmik Apps


Research k mutabik, Pakistan se v ase kuch apps sanchalit ho rahe the, jo ki dharmik questions poochte aur unka answer dete the. Ye hacker group aastha k name par bhaqto k data collect karke unki profile hack karne ki koshish kar raha tha. Indian Cyber Army k chairman Kislay Chaudhary batate hai, 'hum ase kai mamle dekh chuke hai, jinme ek he person bhut se dharmo k questions ko social media par post karta hai. Iske peeche unka kuch v maksad ho sakta hai. K=Hacking se lekar desh m kattarwaadi sooch ko badhawa dekar shanti m v khalal dalna v unka maksad ho sakta hai.

'Is trah k questions k maksad kya hote hai? Iske answers m samaaj shastri Anand Kumar batate hai, hum apne samaaj m apne se alag logo k baare m 3 bhaw rakh sakte hai, friendship ka, enemy/shatruta ka aur tatasthta ka. Social media par agar hamari kisi se friendship hai, to use batane m wo mzaa nahi ata hai, jo dushman/enemy bhaw se batane m ata hai. Dharmik star  par negativity failane wali baate aachi nahi maani jati hai, isliye pahle asi baate private tareeke se hoti thi. Lekin ab social media k through isko failaya ja raha hai. Agar kisi k prati koi  negative vichaar ya baat aapne social media par post kar di, to aapki friendlist m sabhi logo ko wo cheej pahuch jati hai. Unme se v agar 10 logo ne v usko aage share kiya, to uska vistaar ho gaya. Prem se jyada nafrat ka attration logo m jyada hota hai. Is tarah nafrat failane ka kaam hota hai. Social media k karan samajik/social control ka asar v kam ho raha hai aur yeh jaroor chinta ki baat hai.

"Saavdhani Hati, Durghatna Ghati"

Internet par time bitate waqt choti-choti cheejo ko ignour karna aapko bhari pad sakta hai. Kanisk batate hai, 'Kai baar kisi mashoor website k name se milte julte name ka account banakar v uska
use kiya jaata hai.

Maslan, facebook k name m 3 'o' laga diye, same logo laga diya aur dikhne m v same facebook jaisa he lag raha hoga. Fir usse aapko e-mail kiya ki aapka account koi hack karne ki koshish kar raha hai, use protect karne k liye is link par click kare ya ise copy karke apne browser m open kare. Iski asi codin ki jaati hai ki jaise he aap us link m jakar apna password dalte hai, waise he aapka password us developer k pass chala jata hai aur aapke account ka control uske pass v aa jata hai.

Ise hacking ki language m ya technical language m'phishing attack' kahte hai. Iske alawa account k security questions m v kuch common questions hote hai, jinka jikr anjaane m hum apni profile m kar he dete hai.

 How to Install 2 OS in 1 PC -2 OS kaise install kare

Jaise he aapne security question m dal diya ki aapka pahla school kon sa tha aur apni profile m information dal di ki kis-kis m aap school gye. Isi tarah birthless place, favorate movie jaise questions k answers v hote hai. To hackers in par v nazar rakhte hai aur lagataar security questions k saath iske answers match karne ki koshish karte hai. Jaise he answer match hote hai, to us account ko hack kar liya jaata hai.

Yahi reason hai ki facebook account hack hone k cases bhut badh gye the. In apps par milne waali jaankaariya joothi hoti hai, ye pata hone k baad v aakhir jyadatar log inka use karte hai. Facebook user Meenakshi Sharma batati hai, 'In apps k jariye bhut he exciting aur intresting answers milte hai aru questions v ase hote hai ki har koi excited rahta hai answer janne k liye. Yahi karan hai ki hum in apps ka use karte hai'. Wahi facebook user Jyoti Jain kahti hai, 'Is tarah ki applications k answers mazedaar hote hai, isliye m inka use karti hu',

Hope this article "Facebook Apps Data Mining - Kaise karte hai" was somewhere informative for all the readers. So take care about your social media accounts and other online accounts. Your security is in your hands.


EmoticonEmoticon