Friday, June 9, 2017

Tips For Android Battery Drainage - Android Battery Backup Tips

Tips For Android Battery Drainage - Android Battery Backup Tips

Battery draining so fast? Aaj kal smartphones industry m daily new new smartphones launch hote rhte hai aur aajkal smartphones ki battery life v purane phones k comparision m kaafi aachi hai. Is article me hum "Tips for android battery drainage - Android battery backup tips" ke baare m kuch important baate jaanenge. Lekin aksar hum log dekhte hai ki smartphone ki battery chahe kitni v aachi kyu na ho hmko battery life aachi nahi mil pati hai. To asa kyu hota hai ? Iske liye bhut saare facts hai ki battery life aachi nahi milti.

Myths About Battery Backup

1: Kuch log kahte hai ki galat charger choose karne se asa hota hai ki hamari battery aacha backup nahi deti.

2: Other fact ye v hai ki log kahte hai ki battery der tk ya raat raat bhar charge karne se battery over charge ho jati hai jisse backup m kami ati hai aur battery khrab ho jati hai.

3: Kuch log ye v mante hai ki jyada volt ka charger hoga to battery jldi charge hogi aur aacha backup milega.



Aur v bhut saare logo k apne khud k facts hai ki battery kyu aacha backup nahi deti. Lekin m aapko ye batana chahta hu ki ye saare logo k khud k facts bilkul galat hai. Aap sabhi log jante hai ki smartphones m use hone wali batteries lithium ion polymer batteries hoti hai aur ye "lithium ion batteries" liquid form m stay karti hai. In batteries ko aap jitna charge karte rahoge utna he aacha hai. Kyuki agar aap liquid form batteries ko jitna heat mtlb current dete ho to wo utni he strong hoti hai. In lithium ion batteries ki life maximum 5 years hoti hai aur minimum 3 years. Agar aap apne smartphone ko din bhar v charge karte rhte hai to v aapke battery backup p koi galat asar nahi padega. Agar aap soochte hai ki phone ko jyada charge karne se battery khrab ho jati hai to aap internet par battery experts ka review le sakte hein.


Ek aur fact hai ki jyada volt ka charger use karne se battery jldi charge ho jati hai. Lekin ye fact v bilkul galat hai fast chargers saare smartphones m kaam nahi karte, agar aap apne normal se smartphone(jisme fast charging ya turbo charging feature nahi hai) usme jyada watt ka charger ya fast charger use karte hai to aapki charging speed wahi rahegi jaisi ki aapke normal charger se.


Read these also


HOW TO INCREASE THE BACKUP OF BATTERY ( BATTERY KA BACKUP KAISE BADHAYE )

Battery ka backup bhut saari cheejo p depend karta hai jaise ki charger , battery capacity, Quality of charging cable (Data Cable)etc.


1: Battery ka adaptor original he use kare jo aapko apne smartphone k sath milta hai kyuki wahi charger aapke smartphone k hisaab se design kiya gaya hai ki kitna voltage aapka smartphone support karta hai. Isliye adaptor hamesha original he use kare,

2: Quality of charging cable(data cable) bhut saare log yahi bolte hai ki data cabe original use karo lekin ye fact galat hai charging cable koi sa v use karo lekin quality aachi honi chaiye jitna mota aap charging cabe use karenge utna aapi battery aache se charge hogi.

3: Kavi v asi jagah apna smartphone charge na kare jaha p voltage bhut he jyada up and down hota rahta hai isse aapka adaptor jal sakta hai aur battery m unstable current flow hone k karan battery ka backup kam ho sakta hai.



  Aur aapne aksar dekha hoga ki aapka power bank v utna      backup nahi deta hai jitna ki uspe mAH likha hota hai to      m  aapko bta du ki jab aap apna smartphone power bank      se charge karte hai to us time p power bank heat generate    karta hai aur aapka phone v thoda bhut garam ho jata hai   to aadhi energy heat ki form m loss ho jati hai aur aap   soochte hai ki power bank kam backup dera hai, ya fir   company walo ne bas ase he likh diya itne mAH ka hai.     Energy kavi v poori tarah se milti nahi hai ye thoda bhut heat loss and humming loss sev  kam ho jati hai.


To agar aapko ase he kisi v topic se related information chaiye ya fir aapke kuch questions ho to aap comment box m bhej sakte hein. Hope you gain some battery backup tips for android from this "Tips For Android Battery Drainage - Android Battery Backup Tips" article.


EmoticonEmoticon