Saturday, June 10, 2017

Root Kaise Kare Without PC - रूट कैसे करे | Hindi Tutorial

Root Kaise Kare Without PC - रूट कैसे करे

रूट कैसे करे without pc? Firstly rooting hoti kya hai ? Rooting ek type ki process hoti hai jisse ki hum android operating system k root ko access kar sakte hai. Bolne ka mtlb ye hai ki jab phone factory se manufacture hoke ata hai to usme kuch ase softwares and apps hote hai jinko hum na he uninstall kar sakte hai aur na he unme kuch change kar sakte hai. Ye sirf superusers he kar sakte hai.

Ab Superuser kya hota hai ? Superuser ka mtlb ye hota hai ki usko android operating system m changes karne ki permission hoti hai. Aapko waise to pata hoga ki Android operating system v LINUX based operating system hai iske andar v LINUX jaise he libraries aur functions hai. To Android v ek type se Linux jaisa he operating system hai. To ab superuser kaise gain karna hai to uske liye aapko apne android smartphone ko root karna padega. Root karne k bhut saare methods hai jaise ki flashing method ya fir aap simply softwares ya apps ki help se v root kar sakte hai. Flashing method thoda tough hota hai iske liye aapko apne smartphone k liye specially banai gayi Custom ROM download karni padti hai jo ki ZIP format m hoti hai. Uske bad aapko anti clocking ki ZIP file v download karni padti hai aur infiles ko android m flash karna padta hai. Ye thodi mushkil aur log process hai.



root android without pc
Root kaise kare without PC


Aap simply apne PC/Laptop se v apne android smartphone ko root kar sakte hai. Iske liye aapko ek software ko download karna padega jiska name hai kingoroot. Ye software automatically aapke android ko root kar deta hai. Iske liye aapko bas apne PC/Laptop m is software ko install karke open karna hai aur USB ki help se apne android device ko PC se connect kar dena hai aur uske bad root p click karna hai.


Aapka device bhut baar restart hoga lekin aapko device ko disconnect nahi karna hai nahi to rooting ki process disturb ho jayegi aur aapka device unstable ho sakta hai ya kaam karna band kar sakta hai.

Benefits of rooting android phone

1: Rooting karne k baad aap apne phone m preinstalled apps aur softwares ko uninstall kar sakte hein.

2: Aapka phone pahle se thoda modify hokar fast ho jayega.

3: Aapke jo background m apps apne aap chalte rahte hein aap unko uninstall karke apne RAM ko consume hone se bacha sakte hai.

4: Aapki battery life aur battery backup aacha ho jayega.

5: RAM management kuch had tak better ho jayega.

Conclusion

Rooting k kuch bhut he bade disadvanyages v hai agar aapne galti se koi asa application uninstall kar diya jo sirf aapko factory se he preinstalled mil sakte hai jaise ki playstore etc. to ase m rooted device ko dhyaan se precaution k sath use kare. Rooting ek type ki ase process hai jisse ki aap apne android device ko customise kar dete hai aur apni functionality k hisaab se kaise v use kar sakte hai. Uske baad aap unwanted apps ko uninstall karke apne smartphone ko aur v jyada fast aur smooth run karwa sakte hai. Unwanted background apps ko battery power consume karne se block kar sakte hai aur v bhut kuch.

To ye kuch rooting ke advantages hai jinko aap superuser banne k bad he access kar payenge.


EmoticonEmoticon